Showing posts with label youtube. Show all posts
Showing posts with label youtube. Show all posts

Wednesday, 11 April 2018

BASIC 3 : FLUTE KAISE BAJAYE

22:39

flute kaise bajaye?
chaliye sikhte hain.blowing karne ka tarika.flute pakadne ka tarika to sikh liye hai.aab flute blowing karna sikhna hai.flute blow karne se pahle kuch chiz dhyan me rakhna padta ha.jaise flute kitne type ka hota ha.
indian bamboo flute three types ka hota ha.aap log sayad dekhe honge television or YouTube mein pandit log bohut bade flute bajate ha.size me bade honese bass jayada hota hai .
1 bass flute bolte ha.
2 middle flute- medium flute mei bass aur tone dono milta ha.
3 small flute- jo high pich pe bajta ha aur tone jada rahta ha size bhi chota hota ha .
jo beginners ha unhe natural c se fingering practice suru karna chahiye jo ki middle flute ha.middle flutes ko play karna bahut asan hota ha.flute ko apne niche ke honth pe rakh kar 45% angel  me blow karna padta hai.matlabh hawa sidha nahi chodke thora niche taraf chodna hota ha.blowing ekdam halke slowly chodna hota ha.agar awaz nahi ata ha to dhire dhire blowing force badana parta ha.agar aap beginners ha to 1 yea 2 din ke pactice se flute bajna suru ho jaye ga.agar kuch problem creat hota ha to comment kar sakhte ha.next humlog sikhenge flute ka first lesson.

BASIC 2: FLUTE KAYSE PAKADTE HAIN

19:49

flute kaise pakadte hain? Aaiye sikhte hai.
flute left or right Dono taraf se Pakda jata hai. aap Agar beginners hai ya phir flute suru karna chahte hain to aapko aapke Suvidha Anushar left yeah right choose karna hoga.
bansuri mein six fingering holes hota ha aur ek blowing hole hota hain. bhartiya shastra sangeet ke anusar blowing hole ke baad jo 3 holes hain ow 3 holes ko apne finger se band karke blowing karne se jo awaz nikalta hai use sa kahte ha.matlab six fingering holes me se upar ka 3 holes ko close karke blowing karne se jo awaz aata hai wahi sa hain. western culture ke hisab se sabhi six holes ko ek sath bandh karke blow karne se jo awaz nikalta hai wahi sa hota hain. filhaal hum upper three holes close aur niche ka three holes open rakh ke blowing karna sikhenge.blowing ke samay finger hole se agar hat jata hai to flute ka tune properly nahi ayega.to blowing ke douran hume ye dhyan rakhna hai ki jo three holes ko humne close kiya hai usme lick na ho.ek achha flutist banne ke liye yae choti choti chizz dhyan dena parta hain.
kisi bhi problem ke liye niche comment box pe comment kar sakte hain.

Tuesday, 10 April 2018

BASIC 1 : FLUTE SIKHNE KE LIYE KYA KYA CHAHIYE

08:11
1.flute sikhne ke liye sabse Pehle Jo Zaroorat Hota Hai Woh Hai Ek badiya flute. Ek Aisa flute Jo perfect tune ho. Agar Hum koi bhi untune flute Bajata Hai Jo tuning kya hua na ho to Hamare andar suron ka sense ready hone main dikkat karta Hai.aur isi ki wajah se hum log koi bhi Dhun yeah gaana perfectly nahi Baja Pate Hain. to sabse Pehle Jo most important hain Woh Hai ek perfect tuning flute.


"beginners ke liye natural c medium
advanced level ke liye natural g bass

india me bahot sare flute makers hain. mere hisab se Jo best hai Woh Hai Punam flute"

2. aur Jo important hai Woh Hai 1 electronics Tanpura.jis mein Sabhi scale ka sur hota hain.jiske madat se hamara sur ka kaan ready hota hain.Electronics tanpure ka budget thora jada hota hain 6000 rs ke as pas.
agar electronics Tanpura kharidna sambhab nahi.To aup apne android phone me ek app instal kar sakte ho jiska naam ha tanpura droid ye aupko playstore me mil jaye ga.

to be continued.......

Sunday, 25 March 2018

OUR CHANNEL

07:53




         SUBSCRIBE US